Pehle se karz hai kafi
Fir bhi main dar par khada
Kehna hai itna sa tujhse
Humse na ho pa raha
..........
Tere naam sahare
Hum deen dukhiyare
Tu palanhar hai deva
Aanshu humare har lena sare
Tu akhiri aas hai deva
Bs tu vishvash hai deva
..........
Jholi falaye tere dar par aaye
Sahme hue tere bachche sabhi
Jholi falaye tere dar par aaye
Sahme hue tere bachche sabhi
Kapte hathon ko, Kanch ke sapno ko
Tera hi hai bs sahara
Tere naam sahare
Tum deen dukhiyare
Tu palanhar hai deva
Aanshu humare har lena sare
Tu akhri aas hai deva
Bs tu vishvash hai deva
..........
Armaan se tune banaya tha mujhko
Mere karam ne ye kya kar diya
Armaan se tune banaya tha mujhko
Par mere karam ne ye kya kar diya
Berukhi teri sahi jaye ab na
Tu hi dikha deva rasta
..........
Archu🖤